Wednesday 14 August 2019

فاقہ - Faaqa - Starvation

فاقہ 
بھوکھ  میں سواد ہے انتظار کا
بھوکھ کہتی ہے کچھ دیراور روک جاو 
جیبھ بھیگنے دو ذرا
پیٹ میں تھوڑی جگہ بنا دی جائے 
ہر سیکنڈ کا مزا دوگنا ہو جایگا

فاقہ بس
بنا تیل کی گاڑی ہے
جسے روکنا کی اجازت نہیں 

Faaqa

Bhookh mein swaad hai intezaar ka
Bhookh kehti hai kuch der aur ruk jao
Jeebh bheegne do zara
PaeT mein thoDi jagah bana li jaaye
Har second ka mazaa dugna ho jaega

Faaqa bas
Bina tael ki gaaDi hai
Jise rukne ki ijazat nahin.

Tuesday 13 August 2019

برہم - Barham - Enraged

'Rage' aajkal one of my favorite words hai. Pehle gussa aaya, phir 'rage becomes her' padhi, phir toh behadh gussa aaya, phir jaane kisi tarah usse redirect karke 2-3 poems likhi aur bhaagna shuru kar diya. I think it is symbolic of trying to run away.

Iss se pehle aap mujhe kisi mahaan controlled productive insaan ka darjaa de, main bohot tooti bhi hoon iss gusse mein. Kabhi gussa aise paet mein baeth gaya, ki 6 din bhookh hee nahi lagi. Ek-do baar chhup ke smoke bhi kiya. Kabhi 'Mard ko Dard Nahi Hota' maafik ek dum mann kiya ki kaash aankhon mein laser hota. Dishoom, dishoom! (Pretty sure ki laser marne se aisa sound toh nahi aaega).

Itna gussa hai na andar, kabhi kabhi samajh nahi aata iska kya karun. Meri therapist kehti hai I don't pay attention to how much it must be tiring my body.

The artist in me really badly wanted to make a portrait of an angry woman but kasam se online itni caricaturish pictures hai na of angry women ki gussa badega hee. The best picture I could find was of Safeena from Gully Boy. Ye waali -


Alia Bhatt sach mein kamaal hai! Har baar inke baare mein soch kar Safeena ke gusse par likha hua ye article yaad aata hai. As the author says -

"Ask any woman and she’ll relate dozens of incidents when she, too, wanted to express her rage through violence. Break bottles, break jaws, claw, thwack, pummel or thump someone so they rue the day they decided to cross her. Most of us probably won’t act on the instinct."


I know how badly I've wished I would/could.

I don't know Safeena ka gussa kahan se aata hai (ya kabhi kabhi sochti hoon kahan se nahin aata hoga?) Duniya jhand hai. But kisi bhi aurat ko khured ke dekho, neeche aag zaroor milegi.

Ye poem aur bhi interesting ban jaati hai, the more I think about it. I think gussa ek non-reciprocity se aata hai. Humko toh emotional labor ka incharge bana diya gaya hai bachpan se, par jab humara dard, humara gussa, humara care acknowledge bhi nahin hota, toh aag nahi lagegi kya? Aur phir bola, ki gussa dikhao bhi mat!

Mard bimaar ho toh aurat dhyaan rakhe. Aurat bimaar ho toh wo khud ka dhyaan rakhe. Aur jo 'woke' hai aadmi hum mein, wo kehte hai ki tum help kyun nahi maangi? Kya help maangna bhi kaam nahi hai? Can we not be too tired to even ask for help? And will you refuse to care if we don't tell you to?

Jaanti hoon bohot over-generalized lag raha hai. But baat karo apne aas paas ke logon se. Observe karo apne saamne ke relationships ko. Phir bolna kitna sahi kitna galat hai.

Back to the poem, where credit is due, pehli line Ghalib ji se uthaayi hai.

برہم

اسی پی شہر کی ساری ہوئیں برہم تھی
بدن، لہو، من میں چبھن تھی
کی نہ چاہتے ہوئے بھی
مجھے آج پھر تمہاری فکر تھی
اور یہ جانتے ہوئے بھی
تمہارا فون نہیں آیا

Barham

Issi pe sheher ki saari hawayein barham thi
Badan, lahoo, mann mein chubhan thi
Ki na chaahte hue bhi
Mujhe aaj phir tumhari fiqr thi
Aur ye jaante hue bhi
Tumhara phone nahi aaya.

P.S. - Found this piece of gold today-

BASIR SULTAN KAZMI

Monday 12 August 2019

نہ-خدا - Na-khuda - Sailor

Shabdon se ek aur shikayat hai meri. Waise toh kaafi logon se aur cheezon se kaafi shikayatein hai, but words mein ajeeb bandish hai. Humein rules mein phasaa diya hai. You have to be perfection, you can't be 'perfectness'. Aadmi handsome hee ho sakta hai, usse kabhi 'pretty' mat bulana. Kabhi pyaar se kisi ko 'beautifulest' bulaya toh blush ki jagah ek red pen se circle milta hai. Kyun bhai?

Meri zubaan. Mere shabd. Mujhe inhe todne do, modne do, taaki jo main kehna chaahu, wo keh sakoon?

Ab ek shabd hai Urdu mein - shaagird maane 'pupil'. The learner in me loved it. Tamanna thi ki kuch aisa word ho jo iss permanent state of being a learner, of being a pupil ko express kare toh humne isko bana diya 'shagirdagi'. Sahi kiya, galat kiya?

Aaj ki poem, نہ-خدا  (na-khuda) meaning 'sailor' par.

نہ-خدا 
نہ-خدا سے محبّت نہ کرنا
ان سے بس محبّت سیکھنا
ان لہروں بادلوں پانیوں کے لئے
قشتی میں بہتی کہانیوں کے لئے
سفرکے لئے
بس
سیکھ لینا
محبّت کرنا
پر پانیوں کے بیچ تم
نہ-خدا میں
گھر مت بنا لینا
ڈوب جوگی
ڈوب جوگی

Na-khuda - meaning 'sailor'
Na-khuda se mohabbat na karna
Unse bas mohabbat seekhna
Inn lehron badalon paniyon ke liye
Qashti mein behti kahaniyon ke liye
Safar ke liye
Bas
Seekh lena
Mohabbat karna
Par paniyon ke beech tum
Na-khuda mein
Ghar mat bana lena
Doob jaogi
Doob jaogi.

Sunday 11 August 2019

Invisible Men

You call women witches?
Men have the magical ability
To be absent even when they
are,  technically,  there
They can switch off
Go to another city
And pretend you don't exist
Which,  as a witch,
Sometimes I wish I didn't.

Men can complain
about disappearing
Because the dal had too little salt
And I
I am fucking bleeding
And I don't know how to leave.

حساس - Hasaas - Sensitive

Urdu ke saath rishta kuch ajeeb sa hai, jaise koi apna jise apna bulate hue paraya mehsoos hota ho. Aage padhiye, samjhati hoon kyun.

Do baras pehle, ek June ya July kabhi maine Urdu script seekhi thi. Phir zindagi mein toofaan aaya aur maine khud ko apni teacher se door jaate dekha. Unki yaad mein maine Rekhtaa Foundation ke aamozish course ko shiddat se padha, aur koi check karne wale ke na hone ke ba-wajood, har roz Urdu mein apne kisi favorite gaane ke lyrics likhe. Kabhi Tamasha film ka 'Chali Kahani' jiske lyrics aaj bhi kuch gehraai se mehsoos karate hai, toh kabhi Zohra Ji ki 'Mujhse Pehli Si Mohabbat' ki recitation sun kar. Bas, likhti gayi. Aaj bhi kabhi kaam par task list Urdu mein banati hoon, toh kabhi masjid paar karte waqt koi na koi shabd padhne-pehchan-ne ki koshish karti hoon.

Par dil khud se naaraaz hee rehta hai. Kehta hai, script toh seekh li, par shabd aate hai kya?
Aate hai kya?

Ishq Urdu ne sikhaya ki meri roz ki boli Urdu se bhari hui hai, phir kyun paraya lagta hai? Jaise ye koi subject ho jiska maine koi exam hee nahi diya toh shayad mujhe lagta hai ki I know but maybe I don't?

Anyway, ye sab hota rahega.

Zindagi phir toofaani hai, aur iss baar maine khud se likhne ka wada kiya hai.

Rekhta ke instagram page par roz ek naya word aata hai. Plan hai ki kuch apni kahani uss se jod ke sunayi jaaye. Zyada umeed nahi hai. Bas kahani likhni hai.

'Hasaas' ka matlab hai sensitive and I remember ki bachpan se hee main khud ko sensitive maanti hoon. Meaning badla bohot inn saalon mein. Kabhi senstive vs. emotional ka debate, kabhi mental health se iska relationship samajhna, kabhi biology, kabhi ise ek aurat ke nazariye se samajhna, aur kabhi bas iss mein doob jaana. Haal mein I was watching a video jo bola ki kabhi kabhi humara pre-disposition (dimaag ki wiring) hee aisi hoti hain. I thought main neurotic hoon - a tendency to feel negative emotions too much, but ab lagta hai wo definition adhoori hai. Shayad main negative emotions zyada feel karti hoon, but mein positive bhi utna hee zor se feel karti hoon. Isliye andar hamesha hee bhoochaal hai. Toh, aaj ki poem iss par hee.

حساس 
ترا دکه  بڑا تو مرا دکه چند 
مرا دکه چند تو ترا دکه خدا 
عجیب سلسلہ ہے یہ درد بانٹنے سمبھالنے کا 
جیسے وو چاہے جسکی چینی 
یا توہ کم یا زیادہ پڑہی جاتی ہے 
سوچو توہ سواد میں کیا سہی غلط
کھٹاس توہ زبان پر بیٹھی ہے 
دھندہ توہ آنکھ کے سامنے ہے 
ہر درد  بڑا
ہر خوشی چاند
سب کچھ خدا

Hasaas
Tera dukh bada toh mera dukh chaand
Mera dukh chaand toh tera dukh khuda
Ajeeb silsila hai ye dard baantne sambhalne ka
Jaise wo chaaye jiski cheeni
Ya toh kam ya toh zyada padh hee jaati hai
Socho toh swaad mein kya sahi-galat
Khataas toh zubaan par baethi hai
Dhundh toh aankh ke saamne hai
Har dukh bada
Har khushi chaand
Sab kuch khuda.


P.S. - Blogspot par main 2011 se hoon. Aaj pehli baar dekha ki yahan Hindi, Urdu, Punjabi mein type karne ka option hai. Bohot achcha laga :)

P. P. S. - Aap mein so koi Urdu par feedback de sakey toh bohot achcha lagega. Ye likhte saath hee maine bohot spelling errors recognize kiye par abhi kaafi kuch seekhna baaki hai.

Re-writing Tu Hi Re

इन साँसों का देखो तुम पागलपन के आए नहीं इन्हें चैन मुझसे ये बोली मैं राहों में तेरी अपने बिछा दूं ये नैन Read more: https://www.hinditracks...